Kavitayien


Yaad

raat to hai
    andhera bhii kam nahin
shayad chaand bhii hai kahin

teri joostjoo hai
    tere khawab bhii hai
bas tera wajood hii nahin

har pal mein teri yaad samayee hai
    shayad yehi udaasi hai
jo is andhere ke saath
    is jaahan par chaayee hai



Yaad - 2

phir vahi manjar hai
    phir vhai sama hai phir vahi jazbaat hai
    phir vahi aarmaan hai

vahi kasmein hai
    vahi vaadey bhi hai vahi lafaz hai
    vahi iraadey bhi hai

dil to ab bhi hamara vahi hai
    chaahut bhi vahi hai kuch badlaa hai to itna
    bas tera saath nahin hai


Tum Bin

kuch gum nahin ‘gar
    jo soocha tha ho na hua
khawaboon ki hi to baat hai
    kuch der aankhey band kar
hum ik aur sajaa leengey

    tum hamaari jindagi se gaye to kya
        hum kisii aur ko aapna bana leengey
    humsafar ki hi to baat hai
        kisi aur ka saath nibha lengey

kya hua jo vafaa ka badla jafaa se mila
    hum jigar ke tukrey chun kar
ik naya dil bana lengey

    hai ‘gar tere diya dard ki baat
        davaa na mili to kya
    kudh ik naya zakhm lagaa lengey

kya hua jo humey khushii na mili
    hum aansoono mein sukoon paa lengey
jindigi guzaarnay ki hi to baaat hai
    maut ke intzaar mein bita lengey


Dua

yeh thaki hui rooh
    yeh toota hua badan har subah
jeenay ka bahaana dhoontey hai

Yeh boojhil kadam
    yeh sooni raahein
na janein kaisi talash mein hain
    ke chaley ja rahey hai jahaan le jayein havaein

yun to uthtey hain duaoin mein haath
    jhukta hai sajday mein sar
nahin tamanaa khudai ki, nahin chahiyey jaanat ka dar
    sirf mangtey hain hum
saath tera ay humsafar


Intezaar

khilkhilati hui dhoop mein
    yeh shabnum ki boondein
lehraati hui in chanchal havaoin mein
    bhini-bhini si tere badan ki khushboo

halki si patiyoon ki sarsarhahat
    phoolon bhari in daaliyoon ki muskurahat
mizaz mein bin piye yeh masti
    dil mein naazuk sey armaan

sabhi tere intezaar mein hai
    tu aaye
aur khuda ki yeh kayanaat mukamal ho jaaye


Kaash

Jo jaantey hum
    tha sirf do pal ka saath hamara
to kabhi dil na lagatey

Jo jantey hum
    aanjaam-e-mohabbat
to ay parvaney, kabhi shama na jalatey