Sher-o-Shayari



  1. aap ki bad-dua bhi dua ban ke lagi

    aap ke har gum ne bhi sukoon diya hum zindaa hai to yeh jaan kar ke pyar se na sahi par, aapne humein yaad to kiya



  2. dil to aapka tha hi

    aaj humne zindagi bhi aapke naam kar di mohabbat ke is haseen ehsaas mein
    har saans, har khushi aap par kurbaan kar di



  3. ik to yeh mausum hai bekarar

    us par aapki nazrein kayamat dha rahien hain kahin hum se koi bhool na ho jaaye
    yeh soch kar, dekh-yey kaliyaan bhi muskuraa rahin hain



  4. aankhon se neend chura kar

    khata poochtey ho? dil lekar
    dard-e-dil ki davaa poochtey ho?


  5. ‘gar tere husn ke sajdey mein jhukti hai duniya

    to meri vafaa par yeh zameen –aasmaan phir aaj husn ko vafa se takraaney do
    dhekhein vakt hota hai kis par maherbaan



  6. dhekha hai humnein maut ko itne karreb se

    ke ab zindagi se dar lagney laga umr biiti hai andheroon mein bhatak kar
    ke ab shama ko dhekh kar, rooshni se dar lagney laga